Lukha Chupi

Published on 19 July 2025 at 22:11

Dhoonda tujhe ghar mein,

Dhoonda tujhe galiyon mein,

Dhoonda tujhe dukaano mein,

Dhoonda tujhe bade makaano mein,

Par dhoondh na paayi tujhe main..

 

Dhoonda tujhe hawaon mein,

Dhoonda tujhe paani mein,

Dhoonda tujhe baageechon mein,

Dhoonda tujhe pahaadon mein,

Par dhoondh na paayi tujhe main..

 

Dhoonda tujhe kisi ki aankhon mein,

Dhoonda tujhe kisi ke dil mein,

Dhoonda tujhe yaaron ki mastiyon mein,

Dhoonda tujhe logon ki sargoshiyon mein,

Par dhoondh na paayi tujhe main..

 

Kyun dhoondh nahin paa rahi thi main tujhe?

Kya galat jagah dhoondh rahi thi main tujhe?

 

Dimag aur dil ke is kashmakash mein,

Bheetar se apni rooh ki aawaaz aayi,

"Main yahan hoon..

Bahar kyun dhoondh rahi ho mujhe?"

Sun-nah bhool gayi thi,

Iss bheetar kay aawaaz ko main..

 

Paaya tujhe khamoshiyon mein,

Paaya tujhe jeel ki parchaaiyon mein,

Paaya tujhe jab jhaankaa kudh kay andar ki gehraaiyon mein,

Paaya tujhe jab dekha kudh ko aayinay mein

 

Paaya tujhe bacchon ki kilkariyon mein,

Paaya tujhe jab apni baaton se kisi ko pahunchaya sukoon,

Paaya tujhe un aansuon mein,

Jab kisi anaath bacchay ko lagaya gale,

Paaya tujhe jab kisi besaahare ko diya sahara

 

Tujhe khokar paanay mein,

Jo khushi mili hai mujhe

Zindagi ka har gham,

Iss khushi kay aagay feeka hai

Zindagi khul kar jeenay ka,

Ab mera yahi naya tareeka hai..

Neeta Devadiga

Rating: 5 stars
2 votes

Add comment

Comments

GD
24 days ago

The simple words you have used to write this poem beautifully convey such a deep meaning. Excellent writing!

Neeta Devadiga
5 days ago

Thank you